ghairon se dad-e-jaur-o-jafa li gai to kya
ghar ko jala ke KHak uDa di gai to kya
ghaarat-gari-e-shahr mein shamil hai kaun kaun
ye baat ahl-e-shahr pe khul bhi gai to kya
ek KHwab hi to tha jo faramosh ho gaya
ek yaad hi to thi jo bhula di gai to kya
misaq-e-aitabar mein thi ek wafa ki shart
ek shart hi to thi jo uTha di gai to kya
qanun-e-bagh-bani-e-sahra ki sarnawisht
likkhi gai to kya jo na likkhi gai to kya
is qahat-o-inhedam-e-riwayat ke ahd mein
talif nusKHa-ha-e-wafa ki gai to kya
jab 'mir' o 'mirza' ke suKHan raegan gae
ek be-hunar ki baat na samjhi gai to kya
Ghazal
Ghairon se dad-e-jaur-o-jafa li gai to kya
Iftikhar Arif