ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana
samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana
ek umr ke dukh pae sote hain faraghat se
ai ghalghala-e-mahshar hum ko na jaga jaana
mangun to sahi bosa par kya hai ilaj is ka
yan honT ka hil jaana wan baat ka pa jaana
go umr basar us ki tahqiq mein ki to bhi
mahiyyat-e-asli ko apni na zara jaana
kya yar ki bad-KHui kya ghair ki bad-KHwahi
sarmaya-e-sad-afat hai dil hi ka aa jaana
kuchh arz-e-tamanna mein shikwa na sitam ka tha
main ne to kaha kya tha aur aap ne kya jaana
ek shab na use lae kuchh rang na dikhlae
ek shor-e-qayamat hi nalon ne uTha jaana
chilman ka ulaT jaana zahir ka bahana hai
un ko to bahar-surat ek jalwa dikha jaana
hai haq ba-taraf us ke chahe sau sitam kar le
us ne dil-e-ashiq ko majbur-e-wafa jaana
anjam hua apna aaghaz-e-mohabbat mein
is shaghl ko jaan-farsa aisa to na tha jaana
'majruh' hue mail kis aafat-e-dauran par
ai hazrat-e-man tum ne dil bhi na laga jaana
Ghazal
Ghairon ko bhala samjhe aur mujhko bura jaana
Meer Mehdi Majrooh