ghair-e-tawakkul nahin chaara mujhe
apne hi dam ka hai sahaara mujhe
hirs-o-tama ne to Duboya hi tha
sabr-o-qanaat ne ubhaara mujhe
jo wo kahe us ko saza-war hai
chun-o-chara ka nahin yara mujhe
be-adabon ki adab-amoziyan
in ke bigaDne ne sanwara mujhe
koshish-e-be-sud mushawwash na kar
qar na ban jae kinara mujhe
zishti-e-pindar dilata hai yaad
qissa-e-askandar-o-dara mujhe
nang-e-muzillat se chhuDa le gaya
josh-e-hamiyyat ka harara mujhe
auj-e-maali pe uDa le gaya
tausan-e-himmat ka tarara mujhe
aah nahin ruKHsat-e-ifsha-e-raaz
qissa to malum hai sara mujhe
fursat-e-auqat hai bas mughtanim
ye nahin milne ki dobara mujhe
Ghazal
Ghair-e-tawakkul nahin chaara mujhe
Ismail Merathi