ghair aae pichhe pa gae mujre ka bar pahle
hum aah baiThe rah gae aae hazar pahle
main arz-e-haal us se kyun kar karun mukarrar
koi bol bhi sake hai wan ek bar pahle
gar jaante ki aaKHir KHwahan-e-jaan to hoga
dil dete pichhe ji ko karte nisar pahle
jaana na tha pareshan kar degi tu wagarna
hum pech mein bhi aate ai zulf-e-yar pahle
maqtal mein jab wo qatil tarwar le ke aaya
kahne laga huzur aa le tu hi war pahle
main sar jhuka ke aage pahuncha hai aur kiya arz
is se bhi kuchh hai behtar hazir hun yar pahle
tab dekh dekh bola tarsa ke marna hai
nin marne ka tujh ko main zinhaar pahle
Ghazal
Ghair aae pichhe pa gae mujre ka bar pahle
Gulam Yahya Huzur Azimabadi