gain yaron se wo agli mulaqaton ki sab rasmen
paDa jis din se dil bas mein tere aur dil ke hum bas mein
kabhi milna kabhi rahna alag manind mizhgan ke
tamasha kaj-sirishton ka hai kuchh iKHlas ke bas mein
tawaqqo kya ho jine ki tere bimar-e-hijran ke
na jumbish nabz mein jis ki na garmi jis ke malmas mein
dikhae chira-dasti aah baaladast gar apni
to mare hath daman-e-qayamat charKH-e-atlas mein
jo hai gosha-nashin tere KHayal-e-mast-e-abru mein
wo hai bait-us-sanam mein bhi to hai baitul-muqaddas mein
kare lab-ashna harf-e-shikayat se kahan ye dam
tere mahzun-e-be-dam mein tere maftun-e-bekas mein
hawa-e-ku-e-jaanan le uDe us ko tajjub kya
tan-e-laghar mein hai jaan is tarah jis tarah bu KHas mein
mujhe ho kis tarah qaul-o-qasam ka e'tibar un ke
hazaron de chuke wo qaul lakhon kha chuke qasmen
hue sab jama mazmun 'zauq' diwan-e-do-alam ke
hawas-e-KHamsa hain insan ke wo band-e-muKHammas mein

Ghazal
Gain yaron se wo agli mulaqaton ki sab rasMein
Sheikh Ibrahim Zauq