ghaibi duniyaon se tanha kyun aata hai
do honTon ke bich ye dariya kyun aata hai
jaise main apni aankhon mein Dub raha hun
ghairon ko aksar ye sapna kyun aata hai
meri raaton ke sare asrar sameTe
mujh se pahle mera saya kyun aata hai
jahton ke barzaKH mein panw ulajh jate hain
raste mein sanson ka rasta kyun aata hai
sat falak kyun Dhalte hain aansu mein mere
pani ki tashkil mein sahra kyun aata hai
main jab ek hayula hun nafi ka to phir
har chehre mein mera chehra kyun aata hai

Ghazal
Ghaibi duniyaon se tanha kyun aata hai
Riyaz Latif