ghaib se sahra-nawardon ka mudawa ho gaya
daman-e-dasht-e-junun zaKHmon ka phaha ho gaya
maut aai ji gae chhuT kar gham-o-andoh se
ye naya marna hai jis ka nam jina ho gaya
KHud ko bhi dekha na aankhen khol kar misl-e-habab
bahr-e-hasti mein faqat dam ka damama ho gaya
ye zamana wo nahin munh se nikale haq koi
yaad kar mansur par kya hashr barpa ho gaya
suraten kya kya na badlin mere soz-e-ishq ne
ashk aankhon mein bana honTon pe chhaala ho gaya
naz se chhati par us ne panw jis dam rakh diya
dil hua ThanDa kaleja hath bhar ka ho gaya
hum ne pala muddaton pahlu mein hum koi nahin
tum ne dekha ek nazar se dil tumhaara ho gaya
kahne ko majzub hum hain dil mein goya aur hai
nek-o-bad jo kuchh hamare munh se nikla ho gaya
jab se ai 'taslim' ki hai baiat-e-dast-e-subu
din saghar ho gaya iman mina ho gaya
Ghazal
Ghaib se sahra-nawardon ka mudawa ho gaya
Amirullah Tasleem