gahri raat hai aur tufan ka shor bahut
ghar ke dar-o-diwar bhi hain kamzor bahut
tere samne aate hue ghabraata hun
lab pe tera iqrar hai dil mein chor bahut
naqsh koi baqi rah jae mushkil hai
aaj lahu ki rawani mein hai zor bahut
dil ke kisi kone mein paDe honge ab bhi
ek khula aakash patangen Dor bahut
mujh se bichhaD kar hoga samundar bhi bechain
raat Dhale to karta hoga shor bahut
aa ke kabhi virani-e-dil ka tamasha kar
is jangal mein nach rahe hain mor bahut
apne basere panchhi lauT na paya 'zeb'
sham ghaTa bhi uTThi thi ghanghor bahut
Ghazal
Gahri raat hai aur tufan ka shor bahut
Zeb Ghauri