gahra sukut zehn ko behaal kar gaya
sochon ke phul phul ko pamal kar gaya
suraj ne apni aanch ko wapas bula liya
lekin mere lahu ko wo sayyal kar gaya
kya faisla diya hai adalat ne chhoDiye
mujrim to apne jurm ka iqbaal kar gaya
jo log dur the wo bahut dur ho gae
ye taza hadisa bhi gaya sal kar gaya
sahme hue hain chaaron taraf raushni ke aks
ek hath aa ke surKH kai gal kar gaya
main do qadam chala tha ki Dhalwan aa gai
'afzal' safar to mera bura haal kar gaya
Ghazal
Gahra sukut zehn ko behaal kar gaya
Afzal Minhas