gah pir-e-shaiKH gah murid-e-mughan rahe
ab tak to aabru se nibhi hai jahan rahe
duniya mein hum rahe to kai din pa is tarah
dushman ke ghar mein jaise koi mehman rahe
ai dida dil ko rote ho kya tum hamein to yan
ye jhikna paDa hai kisi tarah jaan rahe
qismat to dekh bar bhi apna gira to wan
jis dasht-e-pur-KHatar mein kai karwan rahe
sohbat ki garmi hum se koi sikhe misl-e-shama
sare hue safed pa tad bhi jawan rahe
masjid se gar tu shaiKH nikala hamein to kya
'qaem' wo mai-farosh ki apne dukan rahe
'qaem' isi zamin ko tu phir kah par is tarah
sun kar jise ki charKH mein nit aasman rahe
Ghazal
Gah pir-e-shaiKH gah murid-e-mughan rahe
Qayem Chandpuri