gae dinon ki musafirat ka ba-yak-qalam ishtihaar likhna
mere pasine ka pyar likhna lahu ka apne qarar likhna
ajab hai kya meri samt aa kar tamam patthar mahak uThenge
tumhaare atraf kis qadar hai mere KHaton ka hisar likhna
dalil chahe agar qalam meri tarah aankhon ko mund lena
tamam andhi nigah walon ko be-jhijak shab-guzar likhna
hina ko tarse hue kaf-e-pa ka jal Tuk ruk ke puchh lena
kahan talak aabdariyon mein hai surKH sabze ki dhaar likhna
ukhaD ke dahliz dar ki chaukhaT se kitni dur pe ja paDi hai
hai kitni shiddat se un ruton mein tumhein mera intizar likhna
main jaanta hun khaTak rahi hai tumhein meri muntashir dimaghi
bhare-pure shahr mein utar kar mera mujhe be-dayar likhna

Ghazal
Gae dinon ki musafirat ka ba-yak-qalam ishtihaar likhna
Rasheed Ejaz