gae dinon ka hawala tha kaam kya deta
guzar gaya wo jawab-e-salam kya deta
dayar-e-shab se bhi aage mera safar tha bahut
so mera sath wo mah-e-tamam kya deta
main is KHaraba-e-dil ke ujaD manzar mein
kisi ko dawat-e-sair-o-qayam kya deta
jo tu na aata to rang-e-fasurdagi ke siwa
meri nigah ko ye husn-e-sham kya deta
shikasta-pai pe jab mutmain the rahrawan
main qafile ko dua-e-KHiram kya deta
mujhe KHabar hai sarisht-e-sifal mein hai zawal
main apne dil ko fareb-e-dawam kya deta
main kuza-gar ki dukan par rakha raha ta-umr
koi charagh-e-shikasta ke dam kya deta
usi se mujh ko mohabbat usi se nafrat bhi
main us talluq-e-KHatir ko nam kya deta
ye shahr ho gaya KHali suKHan-shanason se
yahan koi mujhe dad-e-kalam kya deta
Ghazal
Gae dinon ka hawala tha kaam kya deta
Farasat Rizwi