gae baras ki yahi baat yaadgar rahi
faza ghamon ke liye KHub sazgar rahi
agarche faisla har bar apne haq mein hua
saza-e-jurm bahar-haal barqarar rahi
badalti dekhin wafadariyan bhi waqt ke sath
wafa jahan ke liye ek karobar rahi
ab apni zat se bhi e'timad un ka uTha
wo jin ki baat kabhi harf-e-e'tibar rahi
KHabar thi go use ab mojaze nahin hote
hayat phir bhi magar mahw-e-intizar rahi
na koi harf-e-malamat na koi kalma-e-KHair
ye zist ab na kisi ki bhi zer-e-bar rahi
ye aur baat ki dil gham mein KHud kafil hua
magar wo aankh mere gham mein ashk-bar rahi
Ghazal
Gae baras ki yahi baat yaadgar rahi
Shabnam Shakeel