ghaza to tera utar gaya tha
main dekh ke KHud ko Dar gaya tha
is shahr mein raste ka patthar
main jangalon se guzar gaya tha
tahrir-e-jabin miTi hui thi
taqdir ka zaKHm bhar gaya tha
be-nur thi jhil bhi kanwal se
suraj bhi KHala mein mar gaya tha
ehsas shabab gham mohabbat
ek ek nasha utar gaya tha
dil ko wo sukun mila tere pas
jaise main nagar nagar gaya tha
kya chiz thi baad-e-subh-gahi
ru-e-gul-e-tar nikhar gaya tha
hamrah the an-ginat zamane
main dasht se apne ghar gaya tha
nazron ka milap kaun bhule
ek saneha sa guzar gaya tha
iqrar-e-wafa kiya tha us ne
main fart-e-KHushi se mar gaya tha
'siddiq' chali thi tez aandhi
miTTi ka badan bikhar gaya tha

Ghazal
Ghaza to tera utar gaya tha
Siddique Afghani