اردو हिंदी
Ghaar se sang haTaya to wo Khaali nikla | Shaahi Shayari
ghaar se sang haTaya to wo Khaali nikla

Ghazal

Ghaar se sang haTaya to wo Khaali nikla

Iqbal Sajid

;

ghaar se sang haTaya to wo KHali nikla
kisi qaidi ka na kirdar misali nikla

chaDhte suraj ne har ek hath mein kashkol diya
subh hote hi har ek ghar se sawali nikla

sab ki shaklon mein teri shakl nazar aai mujhe
qura-e-fal mere nam pe gali nikla

ras aae mujhe murjhae hue zard gulab
gham ka partaw mere chehre ki bahaali nikla

kab gaya jism magar sae to mahfuz rahe
mera shiraaza bikhar kar bhi misali nikla

raat jab guzri to phir subh-e-hina rang hui
chand ki tarah mera aks KHayali nikla

taKHt KHali hi raha dil ka hamesha 'sajid'
is riyasat ka to koi bhi na wali nikla