ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega
ek din dariya sabhi diwar o dar le jaega
ghar ki tanhai mein yun mahsus hota hai mujhe
jaise koi mujh ko mujh se chhin kar le jaega
kaun dega us ko meri tah-nashini ka pata
kaun mere Dub jaane ki KHabar le jaega
aaine viran-nigahi ka sabab ban jaenge
KHud-pasandi ka junun tab-e-nazar le jaega
subh ke sine se phuTegi shua-e-mehr-e-nau
sab andhere raat ke dast-e-sahar le jaega
jazba-e-johd-e-musalsal hai bina-e-zindagi
ye gaya to sara jine ka hunar le jaega
Ghazal
Ganw se guzrega aur miTTi ke ghar le jaega
Jamuna Parsad Rahi