اردو हिंदी
Ghaalib-o-yagana se log bhi the jab tanha | Shaahi Shayari
ghaalib-o-yagana se log bhi the jab tanha

Ghazal

Ghaalib-o-yagana se log bhi the jab tanha

Habib Jalib

;

'ghaalib'-o-'yagana' se log bhi the jab tanha
hum se tai na hogi kya manzil-e-adab tanha

fikr-e-anjuman kis ko kaisi anjuman pyare
apna apna gham sab ka sochiye to sab tanha

sun rakho zamane ki kal zaban par hogi
hum jo baat karte hain aaj zer-e-lab tanha

apni rahnumai mein ki hai zindagi hum ne
sath kaun tha pahle ho gae jo ab tanha

mehr-o-mah ki surat muskura ke guzre hain
KHak-dan-e-tira se hum bhi roz-o-shab tanha

kitne log aa baiThe pas mehrban ho kar
hum ne KHud ko paya hai thoDi der jab tanha

yaad bhi hai sath un ki aur gham-e-zamana bhi
zindagi mein ai 'jalib' hum hue hain kab tanha