ghafil teri nazar hi se parda uTha na tha
warna wo kis maqam pe jalwa-numa na tha
raushan charagh-e-ishq ne ki manzil-e-hayat
warna wo tirgi thi ki kuchh sujhta na tha
maqsud ek tere hi dar ki thi justuju
dair-o-haram se mujh ko koi wasta na tha
aawaz de rahe the jise be-KHudi mein hum
dekha to wo hamein the koi dusra na tha
wo to shikayat apni wafaon ki thi huzur
kuchh aap ki jafaon ka shikwa-gila na tha
mana ki dur tha to nigahon se ai karim
lekin tera KHayal to dil se juda na tha
hum aap apni manzil-e-maqsud the 'umid'
jate kahan ki KHud se pare rasta na tha

Ghazal
Ghafil teri nazar hi se parda uTha na tha
Raghunath Sahai