اردو हिंदी
Fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai | Shaahi Shayari
fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai

Ghazal

Fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai

Mirza Maseeta Beg Muntahi

;

fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai
ghazab mein jaan dil-e-be-qarar rakhta hai

gul-e-chaman na dur-e-shahwar rakhta hai
bhara bhara jo badan mera yar rakhta hai

latif ruh ki manind jism hai kis ka
piyaada kaun waqar-e-sawar rakhta hai

juda juda hai hasinan-e-dahr ka andaz
har ek tarah ki har gul bahaar rakhta hai

fareb-e-husn se allah aadmi ko bacha
chale ye pech to rustam ko mar rakhta hai

kamal-e-ishq ko pata hun KHaksari mein
taraf nasheb ke dariya guzar rakhta hai

bahaar aai hai bint-ul-inab pe joban hai
girah mein dam koi baada-KHwar rakhta hai

suna hai jab se ki hain dafan us mein aashiq-e-zar
qadam zamin pe nahin wo nigar rakhta hai

har ek shisha-e-saat falak ko kahta hai
ki 'muntahi' se sarasar ghubar rakhta hai