fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha
suraj kisi ke pairhan-e-chaak se uTha
ye dil uTha raha hai baDe hausle ke sath
wo bar jo zamin se na aflak se uTha
sab mojazon ke bab mein ye mojaza bhi ho
jo log mar gae hain unhen KHak se uTha
suraj ki zau charagh-e-shikasta ki lau se ho
qulzum ki mauj dida-e-namnak se uTha
puchha jo us ne ahd-e-jarahat ka majra
dariya lahu ka har rag-e-poshak se uTha
Ghazal
Fitna uTha to razm-gah-e-KHak se uTha
Ahmad Azeem