firaq o wasl se haT kar koi rishta hamara ho
baghair us ke bhi shayad zindagi hum ko gawara ho
nikal aae jo hum ghar se to sau raste nikal aae
abas tha sochna ghar mein koi ghaibi ishaara ho
na is Dhab ki bhi zulmat ho ki sab mil kar dua mangen
koi jugnu hi aa nikle na gar koi sitara ho
ziyan ki zad pe duniya mein kai log aur bhi honge
to phir ai na-muradi tu mere gham ka sahaara ho
taqabul kasrat o qillat ka kuchh mani nahin rakhta
andhera chir kar nikle agarche ek sharara ho
purane gham tere to juzw-e-jaan hum ne bana Dale
bisat-e-dil ki KHwahish hai nae gham ka utara ho
fasil-e-shahr pe raushan agar hon husn ki shamen
to ek ek lafz 'shahid' raushni ka istiara ho
Ghazal
Firaq o wasl se haT kar koi rishta hamara ho
Siddiq Shahid