firaq mein KHun-e-dil hain pite sharab hum le ke kya karenge
hamara dil aap bhun raha hai kabab hum le ke kya karenge
jo un se kahta hun yar hazir hai ye hamara dil-e-shikasta
to hans ke kahte hain naz se wo janab hum le ke kya karenge
nahin hai fursat yahin ke jhagDon se fikr-e-uqba kahan ki waiz
azab-e-duniya hai hum ko kya kam sawab hum le ke kya karenge
sawal be-sud jaante hain rahen na KHamosh to karen kya
ewaz mein bose ke tum se sahab jawab hum le ke kya karenge
ye qaul hai rahmat-e-KHuda ka Daro na tum ai gunah-garo
shumar-e-isyan agar nahin hai hisab hum le ke kya karenge
Ghazal
Firaq mein KHun-e-dil hain pite sharab hum le ke kya karenge
Zeba