fikr-e-manzil hai na hosh-e-jada-e-manzil mujhe
ja raha hun jis taraf le ja raha hai dil mujhe
ab zaban bhi de ada-e-shukr ke qabil mujhe
dard baKHsha hai agar tu ne bajae-dil mujhe
yun taDap kar dil ne taDpaya sar-e-mahfil mujhe
us ko qatil kahne wale kah uThe qatil mujhe
ab kidhar jaun bata ai jazba-e-kaamil mujhe
har taraf se aaj aati hai sada-e-dil mujhe
rok sakti ho to baDh kar rok le manzil mujhe
har taraf se aaj aati hai sada-e-dil mujhe
jaan di ki hashr tak main hun meri tanhaiyan
han mubarak fursat-e-nazzara-e-qatil mujhe
har ishaare par hai phir bhi gardan-e-taslim KHam
jaanta hun saf dhoke de raha hai dil mujhe
ja bhi ai naseh kahan ka sud aur kaisa ziyan
ishq ne samjha diya hai ishq ka hasil mujhe
main azal se subh-e-mahshar tak farozan hi raha
husn samjha tha charagh-e-kushta-e-mahfil mujhe
KHun-e-dil rag rag mein jam kar rah gaya is wahm se
baDh ke sine se na lipTa le mera qatil mujhe
kaisa qatra kaisa dariya kis ka tufan kis ki mauj
tu jo chahe to Dubo de KHushki-e-sahil mujhe
phunk de ai ghairat-e-soz-e-mohabbat phunk de
ab samajhti hain wo nazren rahm ke qabil mujhe
toD kar baiTha hun rah-e-shauq mein pa-e-talab
dekhna hai jazba-e-be-tabi-e-manzil mujhe
ai hujum-e-na-umidi shad-bash-o-zinda-bash
tu ne sab se kar diya begana-o-ghafil mujhe
dard-e-mahrumi sahi ehsas-e-nakaami sahi
us ne samjha to bahar-surat kisi qabil mujhe
ye bhi kya manzar hai baDhte hain na rukte hain qadam
tak raha hun dur se manzil ko main manzil mujhe
Ghazal
Fikr-e-manzil hai na hosh-e-jada-e-manzil mujhe
Jigar Moradabadi