fazaon mein kuchh aisi khalbali thi
kaleja tham kar wahshat chali thi
kabhi us ki jawani manchali thi
kabhi duniya bhi sanche mein Dhali thi
yahi aaina-dar-aina ulfat
kabhi aks-e-KHafi naqsh-e-jali thi
na chhoDa sard jhonkon ne wafa ko
jo shaKH-e-dard ki tanha kali thi
bigaDa kis ne hai tab-e-jahan ko
kabhi ye rind-mashrab bhi wali thi
muhit hangama-e-afaq par hai
sada-e-dard jo dil mein pali thi
ghanimat jaaniye phir nim-raushan
charagh-e-rah se apni gali thi
bura ho aagahi ka zist warna
guzar jati buri thi ya bhali thi
hamin ne 'fauq' chaha zindagi ko
hamin se kisht-e-gham phuli-phali thi

Ghazal
Fazaon mein kuchh aisi khalbali thi
Hanif Fauq