faza hoti ghubar-aluda suraj Dubta hota
ye nazzara bhi dilkash tha agar main thak gaya hota
nadamat saaten aain to ye ehsas bhi jaga
ki apni zat ke andar bhi thoDa sa KHala hota
guzishta roz o shab se aaj bhi ek rabt sa kuchh hai
wagarna shahr bhar mein mara mara phir raha hota
ajab si narm aanhken gandumi aawaz KHushbuen
ye jis ka aks hain us shaKHs ka kuchh to pata hota
masail jaise ab darpesh hain shayad nahin hote
agar kar-e-junun main ne saliqe se kiya hota

Ghazal
Faza hoti ghubar-aluda suraj Dubta hota
Shahram Sarmadi