fasurdagi ka mudawa karen to kaise karen 
wo log jo tere qurb-e-jamal se bhi Daren 
ek aisi rah pe Dala hai tere gham ne ki hum 
kisi bhi shakl ko dekhen to ruk ke aah bharen 
ye kya ki be-sabab aae qaza jawani mein 
ye kyun na ho ki tumhaari kisi ada pe maren 
shab-e-alam ke bhi hote hain kuchh na kuchh aadab 
taDapne wale sahar tak to intizar karen 
us ek baat ke baad ab hazar baat karo 
ye dil ke zaKHm hain yaro bharen bharen na bharen 
subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai 
ki jis se pyar karen us pe tohmaten bhi dharen 
kuchh aise dost bhi meri nigah mein hain 'qatil' 
ki mujh ko baz rakhen jis se KHud usi pe maren
        Ghazal
Fasurdagi ka mudawa karen to kaise karen
Qateel Shifai

