اردو हिंदी
Fasl-e-gul sath liye bagh mein kya aati hai | Shaahi Shayari
fasl-e-gul sath liye bagh mein kya aati hai

Ghazal

Fasl-e-gul sath liye bagh mein kya aati hai

Sheikh Bimar Ali Bakhsh

;

fasl-e-gul sath liye bagh mein kya aati hai
bulbul-e-naghma-sara ru-ba-qaza aati hai

dil dhaDakta hai ye kahte hue us mahfil mein
yan kisi ko KHafaqan ki bhi dawa aati hai

aaj wo shoKH hai aur kasrat-e-araish hai
dekh kis waste pisne ko hina aati hai

kya khule bagh mein wo chashm-e-hijab-aluda
aankh uThate hue nargis ko haya aati hai

jaan-kani husn-paraston ko giran kya guzre
bhes mein hur-e-bahishti ke qaza aati hai

is liye rashk-e-chaman bagh mein gul hanste hain
ki uDati teri raftar saba aati hai

maraz-e-ishq se 'bimar' jo ghabraata hai
yar kahta hai mujhe KHub dawa aati hai