fasl-e-gul mein jo koi shaKH-e-sanobar toDe
baghban ghaib ka us ka wahin phir sar toDe
dast-e-sayyaad mein kahti thi ye kal bulbul-e-zar
kya rihai ka maza hai jo mere par toDe
KHak bhi KHun ki ja nikli na yahan ai pyare
be-sabab hae ye faza dun ne nishtar toDe
wasl ke tishna-labon ko na ho mayusi kyun
daur par un ke falak hae jo saghar toDe
mere dilbar ko mila de jo koi mujh se 'surur'
abhi deta hun zar-e-surKH ke sattar toDe
Ghazal
Fasl-e-gul mein jo koi shaKH-e-sanobar toDe
Rajab Ali Beg Suroor