اردو हिंदी
Fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai | Shaahi Shayari
fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai

Ghazal

Fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai

Haidar Qureshi

;

fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai
dard ki maujon mein bhi tezi ho jati hai

pani mein bhi chand sitare ug aate hain
aankh se dil tak wo zarKHezi ho jati hai

andar ke jangal se aa jati hain yaaden
aur faza mein sandal-bezi ho jati hai

KHushiyan gham mein bilkul ghul-mil si jati hain
aur nashat mein gham-angezi ho jati hai

shirin se lahje mein bhar jati hai talKHi
hila-jui jab parwezi ho jati hai

be-had power jis ko bhi mil jae us ki
tarz yazidi ya changezi ho jati hai

ghazlon mein waise to sach kahta hun lekin
kuchh na kuchh to rang-amezi ho jati hai

husn tumhaara to hai sach aur KHair sarapa
hum se hi bas shar-angezi ho jati hai

zahir ka parda haTne wali manzil par
salik se bhi bad-parhezi ho jati hai

'rumi' ko 'haidar' jab bhi paDhne lagta hun
baatin ki duniya tabrezi ho jati hai