fasil-e-zat mein dar to teri inayat hai
par is mein aamad-e-wahshat meri izafat hai
jab aaine dar-o-diwar par nikal aaen
to shahr-e-zat mein rahna bhi ek qayamat hai
main apne sare sawalon ke jaanta hun jawab
mera sawal mere zehn ki shararat hai
zara si der to mausam ye aarzu ka rahe
abhi bhi qalb o jigar mein zara hararat hai
main apni zat se bahar nikal to aaya hun
ab apne-ap se milne mein kya qabahat hai
ye apna ghar main sar-e-rah le to aaya hun
badal le rasta suraj to phir sarahat hai
ye sar-zamin to dariyaon se bani hai 'said'
ye aur baat ki pul se tumhein adawat hai
Ghazal
Fasil-e-zat mein dar to teri inayat hai
Saeed Naqvi