farzanon ki is basti mein ek ajab saudai hai
kis ke liye ye haal hai us ka kaun aisa harjai hai
kis ke liye phirta hai akela shahr ke hangamon se dur
kaun hai jis ki KHatir us ko tanhai ras aai hai
kis ke lab o ruKHsar ki baaten Dhal jati hain ghazlon mein
kis ke KHam-e-kakul ki kahani wajh-e-suKHan-arai hai
kaun hai jis ki mahrumi ke dagh hain us ke sine mein
kaun hai jis ke KHwabon ki ek duniya main ne sajai hai
kyun us ki aashufta-sari ka charcha hai hum logon mein
kyun itni pur-kaif-o-soz us ki shab-e-tanhai hai
'athar' aao hum bhi us ke dil ki baaten sun aaen
kahte hain diwana hai wo wahshi hai saudai hai
Ghazal
Farzanon ki is basti mein ek ajab saudai hai
Athar Nafees