farq nahin paDta hum diwanon ke ghar mein hone se
virani umDi paDti hai ghar ke kone kone se
apni is kam-zarfi ka ehsas kahan le jaun main
sun rakkha tha uljhan kuchh kam ho jati hai rone se
baad-az-waqt pashiman ho kar zaKHm nahin bhar sakte tum
daman ke dhabbe albatta miT sakte hain dhone se
kanTe bone wale sach-much tu bhi kitna bhola hai
jaise rahi ruk jaenge tere kanTe bone se
mere tikhe sher ki qimat dukhti rag par kari choT
chikni chupDi ghazlen be-shak aap KHariden sone se
aankhon mein ye raat kaTe to Thik 'muzaffar' hanafi ji
rahzan jhunjhlaya baiTha hai ek manzil sar hone se
Ghazal
Farq nahin paDta hum diwanon ke ghar mein hone se
Muzaffar Hanfi