اردو हिंदी
Farq koi nahin magar hai bhi! | Shaahi Shayari
farq koi nahin magar hai bhi!

Ghazal

Farq koi nahin magar hai bhi!

Rashid Mufti

;

farq koi nahin magar hai bhi!
talKH donon hain zahr bhi mai bhi

shor itna hai jis ke hone ka
kaun jaane ki wo kahin hai bhi

sina-e-admi ki baat hai aur
yun to chhalni hai sina-e-nai bhi

yun bhi chup hun tere badalne par
pahle jaisi nahin koi shai bhi

mere bare mein sochne wale
mere bare mein kuchh karen tai bhi

de rahe hain wahi mujhe dushnam
bolni hai jinhen meri jai bhi

sur badalne ka tha mahal 'rashid'
tum ne badli nahin magar lai bhi