farq jo kuchh hai wo mutrib mein hai aur saz mein hai
warna naghma wahi har parda-e-awaz mein hai
tarjuman-e-gham-e-dil kaun hai ashkon ke siwa
ek yahi tar-e-shikasta to mere saz mein hai
murgh-e-azad asiron ko hiqarat se na dekh
in ki taqat bhi tere bazu-e-parwaz mein hai
ek le de ke tamanna hai so wo bhi nakaam
dil mein kya hai jo teri jalwa-gah-e-naz mein hai
dil ko diwana samajh kar na bahut chheDo tum
kahin kuchh kah na uThe ye haram-e-raaz mein hai
Ghazal
Farq jo kuchh hai wo mutrib mein hai aur saz mein hai
Anand Narayan Mulla