fariyaad bhi hai su-e-adab apne shahr mein
hum phir rahe hain mohr-ba-lab apne shahr mein
ab kya dayar-e-ghair mein DhunDen hum aashna
apne to ghair ho gae sab apne shahr mein
ab imtiyaz-e-dushmani-o-dosti kise
haalat ho gae hain ajab apne shahr mein
jo phul aaya sabz qadam ho ke rah gaya
kab fasl-e-gul hai fasl-e-tarab apne shahr mein
jo randa-e-zamana the ab shahryar hain
kis ko KHayal-e-nam-o-nasab apne shahr mein
ek aap hain ki sara zamana hai aap ka
ek hum ki ajnabi hue ab apne shahr mein
'KHatir' ab ahl-e-dil bhi bane hain zamana-saz
kis se karen wafa ki talab apne shahr mein
Ghazal
Fariyaad bhi hai su-e-adab apne shahr mein
Khatir Ghaznavi