farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha
wo mujh se intihai KHush KHafa hone se pahle tha
kiya karte the baaten zindagi-bhar sath dene ki
magar ye hausla hum mein juda hone se pahle tha
haqiqat se KHayal achchha hai bedari se KHwab achchha
tasawwur mein wo kaisa samna hone se pahle tha
agar madum ko maujud kahne mein tammul hai
to jo kuchh bhi yahan hai aaj kya hone se pahle tha
kisi bichhDe hue ka lauT aana ghair-mumkin hai
mujhe bhi ye guman ek tajraba hone se pahle tha
'shuur' is se hamein kya intiha ke baad kya hoga
bahut hoga to wo jo ibtida hone se pahle tha
Ghazal
Farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha
Anwar Shuoor