fareb-e-zauq ko har rang mein ayan dekha
jahan jahan tujhe DhunDha wahan wahan dekha
wahi hai dasht-e-junun aur wahi hai tanhai
tere fareb ko ai gard-e-karwan dekha
hai barq ko bhi koi lag na-muradon se
giri taDap ke jahan us ne aashiyan dekha
junun ne hafiza barbaad kar diya apna
kuchh ab to yaad nahin hai kise kahan dekha
ajab ye dil hai jise bawajud tanhai
ghira hua tere jalwon ke darmiyan dekha
wahin wahin tere jalwon ne aag bhaDkai
jahan jahan koi be-nam-o-be-nishan dekha
tilism-e-soz-e-mohabbat ki garmiyan tauba
ki hum ne ashk ke pani mein bhi dhuan dekha
gali mein un ki qadam rakh ke saKHt hairan hun
yahan zamin ko bhi ham-rang aasman dekha
laga di jaan ki bazi gham-e-mohabbat ne
jab un ke husn ka sauda bahut garan dekha
hazar bar sune hum ne ishq ke nale
magar kisi ne jo dekha to be-zaban dekha
Ghazal
Fareb-e-zauq ko har rang mein ayan dekha
Shaukat Thanvi