اردو हिंदी
Fareb-e-rah se ghafil nahin hai | Shaahi Shayari
fareb-e-rah se ghafil nahin hai

Ghazal

Fareb-e-rah se ghafil nahin hai

Mahesh Chandra Naqsh

;

fareb-e-rah se ghafil nahin hai
junun gum-karda-e-manzil nahin hai

meri nakaamiyon par hansne wale
tere pahlu mein shayad dil nahin hai

KHuda ko na-KHuda kahne laga hun
safina talib-e-sahil nahin hai

teri bazm-e-tarab mein aa gaya hun
magar dil ko sukun hasil nahin hai

are us ki nigah-e-be-KHabar bhi
mere anjam se ghafil nahin hai

mere zauq-e-safar ka puchhna kya
nigahon mein meri manzil nahin hai

ba-faiz-e-ishq karb-e-marg se 'naqsh'
guzar jaana koi mushkil nahin hai