fareb-e-nikhat-o-gulzar se bachao mujhe
karam karo kisi sahra mein chhoD aao mujhe
wo jins hun main jise bik ke muddaten guzrin
jo ho sake to kahin se KHarid lao mujhe
machal rahi hai nazar chhu ke dekhiye us ko
simaT raha hai badan hath mat lagao mujhe
kisi tarah in andheron ki umr to kam ho
jalane walo zara der tak jalao mujhe
kisi pe apne siwa ab nazar nahin paDti
meri nigah se ai dosto bachao mujhe
ye kis ki lash liye jate ho uThae hue
kahin wo main to nahin hun zara dikhao mujhe
bikhar chuka hun 'ali' main ghazal ke sheron mein
bisat-e-ariz-o-lab se sameT lao mujhe
Ghazal
Fareb-e-nikhat-o-gulzar se bachao mujhe
Ali Ahmad Jalili