fareb-e-husn hai duniya meri nazar ke liye
nigah-e-ishq nahin husn-e-rahguzar ke liye
qafas mein rah ke na rote agar ye jaante hum
chaman mein rah ke bhi rona hai baal-o-par ke liye
kisi jabin mein kisi dar ke waste bhi nahin
meri jabin mein jo sajde hain tere dar ke liye
meri nazar ko jo tarsa rahi thi apne liye
teri rahi hai wo surat meri nazar ke liye
na chaaragar ke liye mujh mein koi wasf-e-hayat
na wajh-e-matam-e-marg aah nauhagar ke liye
tamam-umr bhi guzre jo ban ke zulmat-e-shab
karen na minnat-e-KHurshed hum sahar ke liye
KHusha wo daur-e-mohabbat ki waqf ho jae
jabin-e-husn mohabbat ke sang-e-dar ke liye
zamana aankh se mujh ko gira ke bhul gaya
ek ashk tha main zamane ki chashm-e-tar ke liye
qubuliyat ko agar hain ibaadaten darkar
gunah chahiyen rahmat ko dar-guzar ke liye
kiya KHayal na apna bhi kuchh meri KHatir
duaen ki hain sitaron ne bhi sahar ke liye
chaman ne phul diye aur shafaq ne rang diya
shuaen chand ne din teri rahguzar ke liye
wo zindagi hai mohabbat ki jis ke zer-e-asar
nafas nafas mein ho ek maut umr-bhar ke liye
bala-e-ishq se bismil na rakh umid-e-najat
dua-e-subh na kar sham-e-be-sahar ke liye
Ghazal
Fareb-e-husn hai duniya meri nazar ke liye
Bismil Saeedi