fareb-e-hijr mein lamhe sabhi visal ke hain
gae dinon ki mohabbat ye din malal ke hain
gai ruton ke fasane abhi nahin bhule
ye jitne KHwab hain aaankhon mein guzre sal ke hain
ye apna zarf hai KHamosh ho gae hum log
bahut jawab agarche tere sawal ke hain
agarche wajh-e-aziyyat hain ab to yaaden bhi
magar ye sare fasane usi jamal ke hain
ye dhup chhanw ke manzar 'KHayal' dekh zara
ye sare aks usi zat-e-ba-kamal ke hain

Ghazal
Fareb-e-hijr mein lamhe sabhi visal ke hain
Mustahsin Khayal