اردو हिंदी
Faraham jis qadar ishrat ke saman hote jate hain | Shaahi Shayari
faraham jis qadar ishrat ke saman hote jate hain

Ghazal

Faraham jis qadar ishrat ke saman hote jate hain

Bismil Saeedi

;

faraham jis qadar ishrat ke saman hote jate hain
sukun-e-ruh se mahrum insan hote jate hain

kabhi tarz-e-taghaful the yahi andaz-e-mahbubi
jo ab sarf-e-nawazish-ha-e-pinhan hote jate hain

shabab-o-husn-e-roz-afzun ka un ke kuchh ye aalam hai
ki hum sharminda-e-shauq-e-farawan hote jate hain

abhi jam-e-mai-e-rangin lab-e-lalin tak aaya hai
magar aankhon mein maiKHane se ghaltan hote jate hain

faza-e-KHuld par jaise ghaTaen chhai jati hon
ruKH-e-gul-rang par gesu pareshan hote jate hain

nafas ki aamad-o-shud ka ye aalam hai judai mein
ki nashtar jaise paiwast-e-rag-e-jaan hote jate hain

taalallah faiz-e-baghban 'bismil' taalallah
KHas-o-KHashak-e-gulshan gul-ba-daman hote jate hain