اردو हिंदी
Faqir kis darja shadman the huzur ko kuchh to yaad hoga | Shaahi Shayari
faqir kis darja shadman the huzur ko kuchh to yaad hoga

Ghazal

Faqir kis darja shadman the huzur ko kuchh to yaad hoga

Abdul Hamid Adam

;

faqir kis darja shadman the huzur ko kuchh to yaad hoga
huzur kis darja mehrban the huzur ko kuchh to yaad hoga

wo mai-kada tha sanam-kada tha ki bab-e-jannat khule hue the
tamam shab aap hum kahan the huzur ko kuchh to yaad hoga

wahan bahaaron ke zamzame the wahan nigaron ke jamgaThe the
wahan sitaron ke karwan the huzur ko kuchh to yaad hoga

pahan ke phulon ke taj sar par hasin-o-shadab masnadon par
subu-ba-kaf kaun hukmaran the huzur ko kuchh to yaad hoga

marahil-e-rahat-o-aman the masail-e-mah-o-kahkashan the
mashaghil-e-harf-o-dastan the huzur ko kuchh to yaad hoga

agarche shauq-o-talab the be-saKHta ham-aghoshiyon pe mail
kai takalluf bhi darmiyan the huzur ko kuchh to yaad hoga

latif shamen tabiaton ke zamir se KHub aashna thin
hasin sawere mizaj-dan the huzur ko kuchh to yaad hoga

nazar ki had tak muhit tha silsila mahakte hue gulon ka
gulon mein pariyon ke ghar nihan the huzur ko kuchh to yaad hoga

ajib sanche ki kashtiyan bah rahi thin lahron ke zer-o-bam par
ajib surat ke baadban the huzur ko kuchh to yaad hoga

uluhiyat aap is hasin ittifaq par muskura rahi thi
sanam KHudaon ke mehman the huzur ko kuchh to yaad hoga

jo waqiye the wo gunjte zamzamon ke manind maujzan the
jo KHwab the sarw-e-bostan the huzur ko kuchh to yaad hoga

kahin kahin salsabil o kausar ki jot maujud thi zamin par
kahin kahin arsh-o-asman the huzur ko kuchh to yaad hoga

shab-e-mohabbat huzur ki kakulon ke khulne ke silsile mein
'adam' ke israr kya jawan the huzur ko kuchh to yaad hoga