faqat qayam ka matlab guzar-basar koi hai
main rah raha hun jahan par, wo mera ghar koi hai
jawan lau pe na ja, nau-damida zau pe na ja
charagh-e-wada hai, jalta ye umr bhar koi hai
wo pas baiTh bhi jae to kya kahun us se
jo dastan sunani hai, muKHtasar koi hai
kahin se shauq-e-tamasha mein aa gaya hoga
jo dil ko dekhne aaya hai, chaara-gar koi hai
jo kaT rahi hai teri chashm-e-be-nihayat mein
rah-e-hayat hai sari, rah-e-safar koi hai

Ghazal
Faqat qayam ka matlab guzar-basar koi hai
Syed Kashif Raza