faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta
jahan bachche nahin hote wo ghar achchha nahin lagta
mere dukh tak mere KHun aur pasine ki kamai hain
tumhein kyun meri mehnat ka samar achchha nahin lagta
shikasta satr chahe rang-o-bu-e-pairahan Thahre
kisi surat mujhe ijz-e-hunar achchha nahin lagta
mayassar ho na jab tak bu-e-taza-tar ki hamrahi
hawa ki tarah galiyon se guzar achchha nahin lagta
rah-e-tesha-talab teri main wo diwar hun jis ko
na ho shoridgi jis mein wo sar achchha nahin lagta
gali mein khelte bachchon ke hathon ka main patthar hun
mujhe is sahn ka KHali shajar achchha nahin lagta
chamakta hun har ek mahtab-ru ke ru-e-raushan mein
main suraj hun mujhe shab ka safar achchha nahin lagta
jise dekhen wahi phir dekhne ki aarzu Thahre
jise chahen wahi bar-e-digar achchha nahin lagta
isi KHatir use 'tabish' uchakna chahta hun main
mujhe talab ki tah mein qamar achchha nahin lagta
Ghazal
Faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta
Abbas Tabish