faqat ek shaghl bekari hai ab baada-kashi apni 
wo mahfil uTh gai qaem thi jis se sarKHushi apni 
KHuda ya na-KHuda ab jis ko chaho baKHsh do izzat 
haqiqat mein to kashti ittifaqan bach gai apni 
bas ab guzrenge rah-e-zindagi se be-niyazana 
agar tere karam par munhasir hai zindagi apni 
bahut ji chahta hai ye faqat naqs-e-basarat ho 
baDi surat se duniya kho rahi hai dilkashi apni 
KHamoshi par bhi hai un ko guman arz-e-tamanna ka 
zaban-e-haal se kuchh kah gai waraftagi apni 
agar tum hans diye ahwal-e-dil par kya tajjub hai 
ki main KHud bhi ba-mushkil zabt karta hun hansi apni 
hui hain barishen sang-e-malamat ki bahut lekin 
rahe waz-e-junun qaem hai shorida-sari apni
        Ghazal
Faqat ek shaghl bekari hai ab baada-kashi apni
Gopal Mittal

