اردو हिंदी
Fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya | Shaahi Shayari
fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya

Ghazal

Fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya

Karrar noori

;

fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya
dil mein jage hue fankar ne sone na diya

har taraf tapti hui dhup mere sath gai
zer-e-saya kisi diwar ne sone na diya

ek masum si surat ko kahin dekha tha
phir bhi chashman-e-gunahgar ne sone na diya

mere ham-sae mein shayad hai koi mujh jaisa
hai jo charcha kisi bimar ne sone na diya

kal mere shahr mein ek zulm kuchh aisa bhi hua
raat bhar ghairat-e-fankar ne sone na diya

jagte rahne ka aaram to kya hum ko bhi
chain se shiddat-e-afkar ne sone na diya

kal kuchh aisi hi sar-e-bazm meri baat giri
kisi pahlu mere pindar ne sone na diya

ek dhaDka sa laga tha ki sahar-dam kya ho
sar pe laTki hui talwar ne sone na diya