fan jo mear tak nahin pahuncha
apne shahkar tak nahin pahuncha
pagDi pairon mein kaise main rakhta
hath dastar tak nahin pahuncha
koi inam koi bhi tamgha
sachche haqdar tak nahin pahuncha
aisa har shaKHs hai masiha ab
jo kabhi dar tak nahin pahuncha
har KHuda jannaton mein hai mahdud
koi sansar tak nahin pahuncha
chaara-gar sab ke pas jata tha
sirf bimar tak nahin pahuncha
dost ban kar dagha na de jo wo
apne kirdar tak nahin pahuncha
mujh ko alqab kyun milen logo
main to darbar tak nahin pahuncha
aisa jhagDa bata do mujh ko jo
ghar mein diwar tak nahin pahuncha
kis ne becha nahin suKHan apna
kaun bazar tak nahin pahuncha
Ghazal
Fan jo mear tak nahin pahuncha
Ajay Sahaab