falak pe chand hai aur pas ek sitara hai
ye teri meri mohabbat ka istiara hai
shab-o-sahar ke tasalsul mein ye tulu-o-ghurub
samajhne walon ko ek dukh-bhara ishaara hai
ye tere sozan-e-mizhgan ke bas ki baat nahin
yahan to pairahan-e-jaan hi para-para hai
faqat karishma-e-tarz-e-nazar hai sud-o-ziyan
kisi ka nafa kisi ke liye KHasara hai
wo jis ne mujh ko kahin ka nahin rakha ek umr
wahi KHayal wahi aarzu dobara hai
nai jagah mujhe manus si lagi to khula
ye koi KHwab mein dekha hua nazara hai
yahan se jo bhi gaya lauT kar nahin aaya
batae kaun kahan dusra kinara hai
Ghazal
Falak pe chand hai aur pas ek sitara hai
Farasat Rizwi