fasle ke mani ka kyun fareb khate ho
jitne dur jate ho utne pas aate ho
raat TuT paDti hai jab sukut-e-zindan par
tum mere KHayalon mein chhup ke gungunate ho
meri KHalwat-e-gham ke aahani darichon par
apni muskurahaT ki mishalen jalate ho
jab tani salaKHon se jhankti hai tanhai
dil ki tarah pahlu se lag ke baiTh jate ho
tum mere iradon ke Dolte sitaron ko
yas ke KHalaon mein rasta dikhate ho
kitne yaad aate ho puchhte ho kyun mujh se
jitna yaad karte ho utne yaad aate ho
Ghazal
Fasle ke mani ka kyun fareb khate ho
Ahmad Nadeem Qasmi